Plagiarism Checker Tool kya hai - Plagiarism Checker Tool kaise use kare?

Plagiarism Checker toolTkya hai or Plagiarism checker tool ko kaise use kare. Plagiarism checker tool ki help se apne blog ki ranking kaise badaye? Dosto agar aap plagiarism checker tool ke baare me jaana chahate hai or iska kaise use kiya jata hai toh humari es post ko pura pade. Ye post aapke liye kaafi useful ho sakti hai.

Plagiarism Checker Tool kaise use kare

Plagiarism kya hota hai?

Toh dosto sabse phle mai aapko ye bta du ki plagiarism ka matlab kya hota hai. Plagiarism matlab ye hota hai ki aap kisi dusre aadmi ke ideas, content or views ko churakar apne view or ideas btate ho ese he plagiarism bolte hai. Agar simple words me bola jaye toh dusre ke ideas ko copy karke apna btana.
Toh dosto ab aap etna toh jaan he gye honge ki plagiarism ka kya matlab hota hai. Ab mai aapko ye bta du ki ye ek blogger ke liye kyu important hai. Ye kisi bhi blogger ke liye bhut important hai ki koi uske ideas or content ko use karke apna na bataye.

Also Read - Blog ke content ko copy hone se kaise bachaye

Plagiarism Checker Tool kya hai?

Plagiarism Checker tool ek aisa tool hota hai jiski help se hum ye pata laga sakte ki jab bhi hum apne blog ke liye koi bhi post likhte hai toh kisi dusre ke post se match toh nahi ho rahi hai. Agar aapki posts kisi dusre ke content se match ho rahi toh wo Google par jaldi se rank nahi karegi. Esliye hum plagiarism checker tool ka use karte hai. Jiski help se hum apne blogs ki posts ko unique bana sakte hai.


Plagiarism Checker Tool ko kaise use kare?

Toh chailye dosto ab mai aapko btata hu ki aap es tool ka use karke kaise apni posts ko SEO friendly bana sakte hai or jaldi se use rank kara sakte hai.

Plagiarism Checker tool ka use karne ke liye sabse phle aap es website par visit kare.                
               Plagiarism Checker

Jab aap plagiarism checker ki site par aa jaye toh aapko jo bhi post ya article hai or uska plagiarism check karna chahate hai toh use copy karke yaha paste karde. Or yaha bss aap 1000 words ki posts ya articles ko he check kar sakte hai.


Plagiarism Checker Tool kya hai

Toh site open karne par aapko aisa interface dikhayi dega. aapko yaha par wo article paste karna hai jise aap check karna chahte ho.
aap yaha par kisi text file ko upload karke bhi check kar sakte hai. 
Jab aap yaha apne article ko paste kar do uske baad aapko check plagiarism par click karna hai. uske baad aapke saamne result show ho jayega.


Plagiarism Checker tool kya hai

aap image me dekh sakte hai ki results kaise show hoga.
Yaha maine ek unique content liya hai jo maine khud likha or check kara hai. Toh aap dekh sakte hai usme only 3% plagiarized content hai or 97% unique content hai. Usi traha jo dusri image hai usme maine kisi dusre ke content ko copy karke check kara hai toh usme 84% plagiarized content hai or only 26% he unique content hai. Toh esliye dosto hume kisi ke content ko copy karke apne blog par nahi use karna chahiye. Aese humara blog kabhi bhi rank nahi ho pata hai.

Also Read - Meta Tag description kya hai - Blog me meta tag description kaise add kare

Final words
Toh dosto aapko ye post kaisi lagi hume comment karke jarur bataye. Or agar aapka post se releated koi question bhi hai toh aap humse comment karke puch sakte hai.


Post a Comment

3 Comments

  1. sir aap ka post bahut accha aur useful hai , hum ko bahut problems ho raha tha laken aap ke post read karne k bad nhi hota hai .
    thanku sir
    About More

    ReplyDelete
  2. Nice Post Sir Thank You Very Much, Sir And Thanks for Sharing.
    Plagiarism Check Kaise Kare 100% Unique

    ReplyDelete